Tmse kuch kehna tha
184 replies
Avatar
Sweetcapricorn
2012/04/22 13:30
Hamin tmse kuch kehna tha magar dil ne na sath diya hamnay yunhe aksar lafzun ko teray naam kia tanhaiyun mein socha bht ke tmse kuch kahein gay hum samnay daikh kar kuch bi na biyan kia tm ne jo kbi hans kar daikha hum ko hm ne to isko bi muhbt guman kia janay kaise kahin hum tm se o janejahan hum ne to har lamha khud ko tera talab gar kia.
Avatar
Aamir
2012/07/30 05:40
Sweetcapricorn: meine bi tmhre shairey ke baat ke reality ka to mje pata nhnsmiley
hmmm baat tmri sai hai jn smiley
Avatar
Sweetcapricorn
2012/07/30 06:49
Dil ke baat btane walay kuch kuch pagal hotay hain nhn milta unhain koi bi apni sochon ke mutabiq apne hal mein gum hotay hain hamesha woh apni jan se janey walay kuch kuch pagal hotay hain
Avatar
Aamir
2012/07/31 23:33
Sweetcapricorn: Dil ke baat btane walay kuch kuch pagal hotay hain nhn milta unhain koi bi apni sochon ke mutabiq apne hal mein gum hotay hain hamesha woh apni jan se janey walay kuch kuch pagal hotay hain
Sach kaha pagal hote hai smiley Mein Bhi Kitna Pagal Hoon Jo Tumse Rooth Jataa Hoon Naa Jaane Kya Hota Hai Mein Khud Hi Toot Jata Hoon Ik Dard Sa Dil Mein Uthta Hai Tum Baat Jo “Uski” Karte Ho Lagta Hai Jaise “Shaq”,Aaj Bhi Mujh Par Karte Ho Nahi Jaanta Mein Bhi Kitna Pyaar Mein Tumse Karta Hoon Jaanta Hoon To Bus Itna Ki Apne “......” Par Marta Hoon Jab Yaad Tumhari Aati Hai Is Dil Ko Bhaut Taddpati Hai Tum Kya Jaano Kaise Mein, Is Nadaan Dil Ko Samjhata Hoon Mein Bhi Kitna Pagal Hoon… smiley
Avatar
Sweetcapricorn
2012/07/31 23:40
Aik shakhs ke chahat ka arman rha aksar jo jan kar bi sub kuch ajnan rha aksar ata hai woh nendun mein rhta hai woh khawbun mein aik yahe to uss shakhs ka mj pe ehsaan rha aksar.
Avatar
Aamir
2012/08/01 00:09
Mere Khuda Bas Itna Reham kar de,Dil ye mera tu Paththar kar de,Seh na Paunga main Us Bewafa ki Judai,Uske Rukhsat se pehley mujhey Dafan Kar de
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/01 11:18
Meri ebadatun ko aisy qabul kar Rabe-e- Kareem ke mein sajday mein sar jhukaun to meray apnun ke zindagi sanwar jae.
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/02 03:24
Na karun yaad tuje to ullaj jati hain sansain samjh nhn atta ke zindagi sansoon se hai ya teri yaad se
Avatar
wiLLyRockz
2012/08/02 11:51
Awww .......
Avatar
Aamir
2012/08/02 14:48
Jeete They Kabhi Hum Bhi Shaan Se Mehek Uthi Thi Fiza Kisi Ke Naam Se Par Guzre Hain Hum Kuch Aise Mukam Se Ke NAFRAT Si Ho Gayi Hai MUHABBAT Ke Naam Se…
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/08 05:52
Rakhtay hain jo auroon ke lye piyar ke jazbbaat woh log kbi toot kar bikhra nhn kartay
Avatar
Aamir
2012/08/08 09:25
Yeh Kaisi Judai Hai Jisne Hamein Shayar Bana Diya, Yeh Kaisa Gam Hai Jisne Hamein Bebas Bana Diya, Socha Nahi Tha Juda Ho Jaoge Humse Kabhi, Karte Bhi Kya Jab Apne He Gair Bana Diya…
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/11 06:52
Jo annsu dil pe girtay hain ankhun mein nhn rhtay bht se harf aisy hain jo lafzun mein nhn rhtay kitabun mein likhay jatay hain dunia bhar ke afsanay magr jin mein haqeqat ho woh kitabun mein nhn rhtay
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/11 06:54
Kash woh subah nend se jagay to mjse larne ae ke tm kon hotay ho meray khawbun mein anay walay
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/11 06:57
Bas yahe aik sbab nhn hai udasi ka tarah tarah ke dilun mein malal hua kartay hain siyah raat mein jaltay hain jugnuon ke tarah dilun ke zakham bi kamal hua kartay hain
Avatar
Aamir
2012/08/11 18:16
Na milta gam to barbaadi ke afasaane kaha jaate, Duniya agar hoti chaman to wiraane kaha jaate, Chalo acha hua apno me koi gair to nikla, Sabhi agar hote apne to begane kaha jaate… smiley
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/12 01:38
Aik bt kahun agar suntay ho tm mjko achay lagtay ho kuch chup chup se kuch gum sum se kuch apne apne lagtay ho yun jb mje pyar se kehtay ho tm bin jina assan nhn sach kahun tb mje tm bs pagal pagal lagtay ho aik bt kagun agr suntay ho tm mjko achay lagtay ho.
Avatar
Aamir
2012/08/12 01:57
Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa, Izhaar e Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai, Hai Agar Ishq To Aankho Mein Dekho , Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai..
Avatar
GhAyAl
2012/08/18 18:38
Roz sochta hu ke tujhe bhula du mai... Magar kambakhat ye chan har raat teri yaad dila jata hai...
Avatar
Sweetcapricorn
2012/08/19 05:28
Tujh ko khabar nhn par ik sadda sun lo tm nikamaa kar diya hai tmhre 2 din ke pyaar ne
Avatar
saahir
2012/08/21 12:03
Do din ki mohabbat um'r bhar saza ban gayii Tum bhul gayii'n lekin yaad meri qaza ban gayii
#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums
Home