Urdu/hindi poetry
Sweetcapricorn 2012/02/25 14:36
1.Meri yadon se agr bach niklo to wada hai tm se
Mein khud dunia se keh dun ge kami meri wafa mein the
2.Bhut masruf ho shayad
jo hum ko bhul baithy go
Na ye pocha kahan ho na ye jana ke kaise hain hum.
3.khuda naseeb kare unko bht se khushian
wo pyare log jo hamin udas rakhtay hain
4.Teri yadon se bach niklun
mje tadbeer day koi
Meri janib se har rastata teri janib nikalta hai.

Sweetcapricorn 2012/03/25 03:40
Teri yadon say bach nikloon
mujay tadbeer day koi
meri janib say har rasta
teri janib say har rasta teri janib nikalta hay.

Sahil5960719 2012/03/25 04:15
Bhaut achi hai topic aap ki
Trax 2012/03/25 04:17
-goodposting-,i like it./smiley
Dragon358 2012/03/25 04:19
i cant belive nice
2US2 2012/03/25 04:25
Sweetcapricorn: itne kamal poetry kahan se laite app.
Pehle 2 shaer Hzrt nasir kazmi k hain, dusray dunu ab.hameed adam sb ke tesra ahmd faraz ka aur choth ada jafri ka. me khud v likhta hu shaer urdu/eng mein meri 2books eid par marketed ho jain gi.ANSH ALLAH. Tarif ka shukriya.cute.

_ HorTiculTurisT_ 2012/03/25 04:25
Nice one Buddy .clap.
Barbiecute 2012/03/25 04:31
superb -soinlove-
2US2 2012/03/25 04:34
Sweetcapricorn: Teri yadon say bach nikloon
mujay tadbeer day koi
meri janib say har rasta
teri janib say har rasta teri janib nikalta hay.
Tasver mein sada aao magar kuchh terna sikho..
Tum aksar doob jati ho meray ashku kay tufaN mein...
Tasver Aarzo ,Yadian ,Tamanna, Shaoq o Betabi..
Yeh sub cheezain tumhari hain tum aakar chheen lo mujh say...
Gali gali meri yaad bichhi piyaray rasta dikh ke chal..
Mujh say itni NAFRAT hai to meri haddu say dour nikkal..
Janay walay ko nah roako k bharam reh jaye..
Tum pukkaro bhi to kab ous nay thehar jana hai!..cute.

2US2 2012/03/25 04:42
''Udas yun nah raha kar musfaru ke liye...
Musafaru ke thikkanay badaltay rehtay hain...
Koi to ho jisay hum dastaan e dil keh dain...
Tumhari rah mein bethay sulgtay rehtay hain...
Tu khush rehy yehi kaafi hai hum uddasu ko...
Meri dua ke diye roz jaltay rehtay hain .cute.

Eidj5 2012/03/25 05:02
Nice poetry!
_N0t0rri0uS_NaVI_ 2012/03/25 06:34
Nice....
ShAhZaDa 2012/03/25 07:09
wah wah. mai shayar to nahi. Magar ai log0n.. /smiley
THE_SPEAR_KING 2012/03/25 07:55
Shaayro
ne mehfil jama di. . .
.lol.

2US2 2012/03/25 09:51
Agar kuch ma'ani la taqnatu hai. . .
To ouski shart aval justujo hai. . .
Nazar ko meharbaan hunay say roko..
Mujhay pi kar behak janay ki khu hai. . .
Zara isdil say puchho haal mera. . .
Javani kisqadar bemaar tu hai. . .
Adam ousnay humain kya lut'na hai. . .
K rahzan aap behad khubru hai. . .

2US2 2012/03/25 10:07
Yeh humhari bednasibi jo nahain to aur kya hai???
K hum ho gaye ousi kay jo nah hosaka humhara. . .

koi meray dil se puchhay yeh muhabattu ki bazi. . .
Voh qadam qadam pa jeetay main qadam qadam pa hara. .
- - - - - - - -
Bholnay walay say koi keh day zara, is tarah yaad aanay say kaya fiada. . .
Jb meray dil ki dunia basatay nehain, yun tasvar mein aanay say kya fiada. . .

Tu nay mosa ko nahaq takleef di, lutf aata agar yaad kartay humain. . .
Jinki aankhu mein tab e nazaara nah ho, unko jalwa dikhanay say kya fiada. . .
- - - - -
Pathar tarrashnay mein huian unglian figgar. .
Paykar bana to ous kay kharidaar aa gaye. . .
- - - - -
Nillam ho raha tha kisi mahjabeeN ka piyaar. . .
Qimat chukai nah gai ik ghareeb say. . .



2US2 2012/03/25 10:19
Ujaalay apni yaadon kay humharay sath rehnay do. . .
Nah janay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye. . .
- - - - - -
Hum say kya ho saka muhabat mein. . .
Tum nay to khair bewaffai ki! . . .
- - - - - -
Abhi tak naqash hain dil par kisi kay raishmi vaeday. . .
Abhi tak is dil e wahashi ki naadani nahain jaati. . .


LoneLy_heArt 2012/03/25 10:26
good one...
2US2 2012/03/25 10:34
Hai dua yaad
magar harf e dua yaad nahain. . .
Meray naghmu
ko andaz e nawa yaad nahain. . .

Main nay palku say
dar e yaar pa dastak di hai. . .
Main voh saail
hu jisay ko sada yaad nahain. . .

Hum nay jinkay liye
rahoon mein bichhaya tha lahu..
Hum say kehtay hain wohi
ahd e wafa yaad nahain. . .

Zindagi jabr e musalsul ki tarah kaati hai. . .
Janay kis jurm ki
pai hai saza yaad nahain. . .

Kaisay bhar aaien
sar e shaam kisi ki aankhain. . .
Kaisay tharrai
charghanu ki zia yaad nahain. . .

Sirf dhund'laye
sittaru ki chamak daikhi hai. . .
Kab hua kyun hua kis say khafa yaad nahain. . .


cmail 2012/03/25 13:44
Khuda Ne Mujse Kaha " [cMail] ,Dost Na Bana Tu DHOKHA kha jaega"
Mene Kaha " A Khuda, Tu Forum Topic padhane wale se Mil to Sahi,
Tu bhi DHOKHE se uska Dost Banjayga

chocolate.boy 2012/03/25 14:34
Tussi to chaa gaye ho ji
Replies: 288

#36 International
Here you can post in your native language & discuss topics with others from around the world.
Forums