Karna hai jo karle dil me na rakh koi bandishe
Khul kar jile ye pyari si zindagi
Udte panchi ki tarah saans le khule aasma me
Mat ro tu kabhi nhi hai tere paas kisi cheez ki kami
Mat nikaal kisi ki chooti moti kami
Sikh unse kaise hai unki izzat bani
Mat soch ye kaam chhota hai ya bada
Choti choti chizo se hi hai ye duniya bani
Mat samjh kisi ko hamesa apna kabhi
Andhero me parchahyi chor deti hai apna sath bhi
Band kar dusro ki burai karna sayad khud me rhi ho koi kami