Zindagi Sikha Deti Hai
Rebellion 2013/11/15 11:03
Apne dard aur gum ka kisi se zikar na kar
Zindagi sikha degi sab kuch, Tu fikar na kar
Thokar khana to riwaaz hai zamane ka
Ijjat gawana bhi ek tareeka hai ijjat kamane ka
Tu kuch nahi janta to jan jayega
Waqt ke sath sabko pehchan jayega
Kisi ke shabdo ka bojh apne dil pe lekar na mar
Zindagi sikha degi sab kuch, Tu fikar na kar
Maana ki tune galtiyaan hazaar ki hain
Lekin ghode se girta to ghudsawar hi hai
Dekh tere aaspas kaun sarvgun sampann hai?
Hota nahi itna kuch, Sochta jitna tera man hai
Khud apni galatfehmiyon ki kaal-kothri me band rehkar na dar
Zindagi sikha degi sab kuch, Tu fikar na kar