Magar Ye Baat Zamee'n Se Keh Nahin Sakti
Sumita 2012/04/21 13:50
main aasma’n pe bahut der rah
nahin sakti
magar ye baat zamee’n se to keh
nahin sakti
kisi ke chehre ko kab tak nigah
mein rakho'n
safar mein ek hi manzar to rah
nahin sakta
...
sahara lene hi padta hai mujhko
dariya ka
main ek qatra hoon tanha to bah
nahin sakti
ye aazmaane ki fursat tujhe kabhi
mil jaye
main aankho'n aankho'n mein kya
baat kah nahin sakti
Laga ke dekh le jo bhi hisaab aata
ho..
Mujhe ghata ke wo ginti mein reh
nahi sakta..
ye chand lamho ki be-
ikhtaariyaa'n hain ' Sumita'
gunah se rishta bahut der rah
nahin saktA