Skip to content

A page from my diary

dad_ash · Aug 28, 2011 17:16 9 97
dad_ash OP
Aug 28, 2011 17:16
Tu bhi kisi ka pyar "nah Paaye Khuda Kary" Tujhko tera naseeb rulaaye "Khuda kary" Ratoon mein tujhKo neend nah "aaye Khuda kary" Tu dar ba dar ki thokarien "khaaye Khuda kary" Aaye bahar tere gulistaan mein baar baar. Tujh par kabhi nikhaar nah "aaye Khuda kary" Manzil kahien bhi pyar ki tujhko nah mil saky. Tera nah koi sath "nibhaye Khuda kary" Meri taraha tujhy bhi javaani mein gham milien Tu bhi duwa ko haath "uthaaye Khuda kary" Tujh par shab-e-visaal ki raatien haram hoon Shamein jala'jala ke "bhujhaye Khuda kary" Ho jaein bad'duwaien meri dostoo ghalat. Us bewafa pay haraf "nah aaye Khuda kary" ....
9 replies
SpArKo
Aug 28, 2011 17:23
#1
Kya baat hai. Bahut badhiya
dad_ash OP
Aug 28, 2011 17:46
#2
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte lakin, Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah, Dil Ko Hai Tujh Se Nah Milne Ka Yaqeen, Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah....
dad_ash OP
Aug 28, 2011 17:49
#3
Tum laakh chhupaao chehre se ehsaas hamari chahat ka dil jab bhi tumhara dharka hai awaaz yahan tak ayi hai..
dad_ash OP
Aug 28, 2011 17:55
#4
Badalna aata nahien humko mausmoon ki terha.. Har eik rut mein tera intezaar karte hain Nah tum sameet sako'ge jise qayamat tak "kasam tumahri tumhen itna pyar karte hain". . . .
MaG
Aug 28, 2011 18:05
#5
kya baat kya baat once more hojaye smiley
_h3AvEn_KiNG_
Aug 28, 2011 18:50
#6
Aahhha yar irshad .. Sange marmar
dad_ash OP
Aug 28, 2011 19:05
#7
Tum pocho aur main nah bataaon aise to haallat nahien. Eik zara sa dil tota hai aur to koi baat nahien. Kis ko khaber thi saanvale badil bin barse ud jate hain. Saavan aaya lakin apni qismat mein barsat nahien. Toot gaya dil jab to phir yeh saans ka naghma kya maeni. Gunj rehi kyun shehnaai jb koi baarat nahien. Gham ke andhayare mein tujhko apna saathi kyun samjhoon. Tu to tu hai ,aaj to mera saaya mere sath nahien. khatam hua mera afsana ab yeh aanso punchh bhi lo. Jis mein koi taarra chamke aaj ki raat woh raat nahien. Mere ghamgein hune par hairaan hain yun ahbab qateel. Jaise main pathar hun mere seene main jazbaat nahien
dad_ash OP
Aug 29, 2011 17:45
#8
Maire dil ki raakh ku'raid mat, isse muskura ke hawa nah de.. Yeh charagh phir bhi charagh hai kaheen taira hath jala nah de.. Naye door ke naye khawab hain, naye mausmoon ke gulaab hain.. Yeh mohabtoon ke charagh hain inhain nafratoon ki hawa nah de.. Zara dekh chand ki patti'yun ne bikhar bikhar kar tamaam shab.. Tera naam likha hai rait par koi lehar aa kar mitta nah de.. Main udaa'si'yaan nah sajaa sakoon kabhi jisam o jaan ke mizar par.. Nah diye jallain meri aankh mein mujhe itni sakhat sazaa nah de.. Mere saath chalne ke shauq mein bari dhoop sar pay uthao gay Tera naak naqsha hai moum ka kaheen gham ki aag guhlla nah de.. Main ghazal ki shabnami aankh se yeh dukhoon ke phool chuna karon.. Meri salttanat mera fun rahe mujhe taj o takhat khuda nah de.
_ShAnE_StArK_
May 3, 2015 08:48
#9
Hmmm